Phrasal Verbs Definition, Meaning With Examples (Put Off, Put On, Pass Out) in English through Hindi





Phrasal Verbs Definition, Meaning With Examples:


GUYS AAJ IS POST ME hum janenge "phrasal verbs" ke bareme . 
phrasal verb kaa MATLAB KyA  hotha hain aur ENLGISH bolthe samai  Inhe  KAB AUR KAISE USE KARNA HAI  aaj ham is post mai janenge.

tho chaliye guys start karhte hai.

Phrasal verb:


Phrasal verb ek aisa “compound verb” hotha hai .

joki ek “main verb” aur “adverb” se milnepar bantha hai.

Main verb + Adverb = phrasal verb.

 Yaa

Ek “main verb” aur “preposition” se milnepar bantha hai.

Main verb + preposition = phrasal verb.

Yaa

Ek “main verb” aur “adverb” aur “preposition” se milnepar bantha hai.

main verb+adverb + preposition = phrasal verb.



Aagar sidi batho me kahutho phrasal verb ek aisa compound verb hai joki kuch words aapas me ek saath miljane par  bantha hai.
aur ye enlgihsme bahut common aur important hothey hey .inhe jydatar  informal english me use karthe hai .  formal language me phrasal verbs ko kam use kiya jaatha hey ,aagar aap koi formal document,essay  wagera lekh rahe hetho tho phir phrasal verbs ko kam se kam use karne ki koshish kijiye kyonki inhe formal language mey use karna thik nahi manajatha hey.

aagar aapko phrasal verb ka definition English me chathe hetho maine is videok e  description box me rakhdiya hey aap vahase note karle sakthe ho.



Chaliye mai aapko kuch prasarasal verbs ke examples detha hoon taki aap aura chi tarahase samaj sake.




Tho phale phrasal verb hai,

1)    Put off :

Put + off  milkar banjatha hai put off . yani hindi me iska matlab hotha hai  टालना  .kisi kaamko deri kardena yani koi kaam ko Ek samai se dusre samiko change kardena.

English me isey postpone bhi kahthe hey.

Put + off ( verb + adverb)= put off =  टालना  post pone ( to do something lately).

Yahapar aap dekhsakthe put ek “main verb” hai aur iska hindi me aarth hotha hey “रखना ” “off”  ek “adverb” hai jiska hindi me aarth hotha hey “बंद ”.
tho ye 2 words aapas me eksaath milkar ek compound verb banagaye hey jinheki hum English me phrasal verb kahathe hai .aapko ye dono words ke  meaing par koi dhyan nahi dena chaye kyonki jub ye milkar phrasal verb banjathe hey tho iska meaning completely change hotha hey.

Chaliye iske upar mai apko ek sentence banakar dikhata hoon.

 

Example :


We will have to put off  the meeting until next month.
हमें मीटिंग को आगले महीने तक टालना पड़ेगा.
(hame meeting ko aagle mahine tak taalna padega.)


2)    Put on.

 Put + on milkar banjathe hay “put on” iska matlab hotha hey पहनना.

Yahapar put ek “main verb” hai aur on ek “preposition”  hai.

Chaliye ek sentence dekhthe hai.

 Put + on (verb + prepositon)=put on =to wear. पहनना

           You should put on your new dress for the party.
      तुम्हे पार्टी के लिए नया ड्रेस पहनना चाहिए.

3)    put up with
Put + up +with (verb +adv+ prepositon)=put up with = सहना (sahna),or सहन करना(sahan karnaa) to tolerate.

 Example:


Though you do not like his behavior, try to put up with him.
हालांकि तुम्हे उसका बर्ताव पसंद नहीं है फिर भी उसे सहने की कोशिष करो.
(halaki tumhe uska bartaw pasand nahi hain phirbhi usey sahne ki koshis karo.)


Aur kuch phrasal verbs ke examples hai jaiski wake up aur get up.
Yebhi phrasal verbs hai.

“Wake” aur “up” milkar banjatha hay “wake up”.
Hindi me iska matlab  nindme se jaagna.

Wake + up = wake up.

Example: 


I woke up at 6’o clock.
मै 6 बजे जागा.
(mai 6 baje jaaga.)

Aur iskesath get aur up milkar banjtha hey get up.yani uthjaana

Get + up= get up. 

Example: 


I got up at 7’clock.
मै 7 बजे उठ्गाया.
(mai 7 baje uthgaya.)

Aur ek baath aap yahape dhyan me rakhlenaki phrasal verb kaa meaning situation ke anusar badal jatha jatha hey.
 mera kahaneka matlba ye heyki ek phrasral verb ko ek sebhi jyda meanings yani multiple meanings hothey hai .lekin hame unhe situation ke anusar use karna hotha hai.
Jaisi ki ,


Example.


Pass out =  to faint = बेहोश हो जाना.(behosh hojana.)

Ek sentence dekhlete hey,

sita passed out due to sunstroke.
सीता  ज्यदा तेज धूप लगने के कारण बेहोश हो गयी.
(sita jyda tez dhoop lagne ke kaaran behosh ho gayi. )

Passed out ye pass out kaa past form hai.

Jaisiki maine kaha pass out kaa matlab hotha hey bheosh hona lekin iska aur ek matlab hotha hai बांटना (baantnaa).yani distribute karna.
Pass out =  to distribute. बांटना(baantnaa) yani kuch distribute karna .

Example:


I’ll pass out copies of the report.
मै रिपोर्ट के कोपिएस बांट दूंगा.
 (mai riport ke copies baant dunga.)

Tho istarha  ek phrasal verb ko ekse bhi jyda aarth  hothey he.

Aur ek important baaath mai aapko batadeth hunn ki Jub aap kisi phrasal verb ko dekhthe ho tab Aapko ye  bilkul bhi dhya nahi dena heyki ye kya ye phrasal verb,  “verb”  aur  “adverbs” se bana hey yaa “verb” & “preposition”  se bana hey yaa verb&adverb&preposition se baana hey,aur saath hi saath jo words ke karan phrasal verb bana hey unk words kaa meaning kya hey ye bilkul bhi aapko dhyan me nahi rakhna hai.

 aapko sirf  ithna patha hona chayeki  kuch words milkar ek phrasal verb banjatha hai  aur ek naya meaning form karthe hai.


Tho guys aab aap samaj gaye hongeyki phrasal verbs kya hey aur inhe enlglish me kab are kaise use kiya jath hey.tho aaj sehi aap phrasal verbs ko English me bolthe samai  use karna start kijiye kynoki phrasal verbs causal English conversation mey aur fluent enlgish bolneme bahut helpful hothey hai.tho guys inhe jarur use kijiye aur aapni English ko aurbhi jyda improve aur advance bananeki  koshish kijiye.


Click Here To Download "Phrasal Verbs Definition, Meaning With Examples" PDF file

 

Useful  links:   














Comments

You are welcome to share your ideas with us in comments

Popular Posts

Archive

Contact Form

Send